hawa us se kehna
k ab shehar e dil main koi sa ho mausam theharta nahin hai
muhabbat ka ya beqaraari ka mausam
bharose ya be aitbaari ka mausam
ho be chain rehne ya kerne ka mausam
yunhi besabab jeene marne ka mausam
ya ho hijer main aahain bharne ka mausam
judaayi k khadshon se derne ka mausam
wafaaon ka ya bewafaayi ka mausam
murawwat ka ya kaj adayi ka mausam
ya phir dilnasheen shair kehne ka mausam
shanasaayi k dard sehney ka mausam
ya aaya hua ashkon k behne ka mausam
ya tere khayalon main rehne ka mausam
hawa us se kehna !
koi sa ho mausam
wo ab shehar e dil main teharta nahin hai
Poet : Atif Saeed.
himmat e iltija nahin baqi
zabt ka housla nahin baqi
ik teri deed chinn gayi mujh se
werna duniya main kia nahin baqi
apni mashq e sitam se haath na khench
main nahin ya wafa nahin baqi
teri chashm e alam nawaz ki khair
dil main koi gilla nahin baqi
hochuka khatm ehad e hijer o wisaal
zindagi main maza nahin baqi
Poet : Faiz Ahmed Faiz.
Sunday, August 31, 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)